Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics – Sonu Nigam | Dunki

Song Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics sung by Sonu Nigam from Dunki. Music is given by Pritam and Lyrics written by Javed Akhtar.

SingerSonu Nigam
MusicPritam
Song WriterJaved Akhtar

Nikle The Kabhi Hum Ghar Se Lyrics

Nikle The Kabhi Hum Ghar Se
Ghar Dil Se Magar Nahi Nikla
Ghar Basa Hai Har Dhadkan Mein
Kya Karein Hum Aise Dil Ka

Badi Door Se Aaye Hain
Badi Der Se Aaye Hain
Par Ye Na Koi Samjhe
Hum Log Paraaye Hain

Kat Jaaye Patang Jaise
Aur Bhatke Hawaaon Mein
Sach Poocho Toh Aise
Din Humne Bitaaye Hain
Par Yeh Na Koi Samjhe
Hum Log Paraaye Hain

Yehi Nagar Yehi Hai Basti
Aankhein Thi Jisse Tarasti
Yahaan Khushiyan Thi Kitni Sasti
Jaani Pehchaani Galiyan
Lagti Hain Purani Sakhiyan
Kahaan Kho Gayi Woh Rang Raliyan

Bazaar Mein Chai Ke Dhaabe
Bekaar Ke Shor Sharaabe
Woh Dost Woh Unki Baatein
Woh Saare Din Sab Raatein

Kitna Gehra Tha Gham
Inn Sab Ko Khone Ka
Yeh Keh Nahi Paaye Hum
Dil Mein Hi Chupaaye Hain
Par Ye Na Koi Samjhe
Hum Log Paraaye Hain

Nikle The Kabhi Hum Ghar Se
Ghar Dil Se Magar Nahi Nikla
Ghar Basa Hai Har Dhadkan Mein
Kya Karein Hum Aise Dil Ka

Kya Humse Hua Kya Ho Na Saka
Par Itna Toh Karna Hai
Jis Dharti Pe Janme The
Uss Dharti Pe Marna Hai
Jis Dharti Pe Janme The
Uss Dharti Pe Marna Hai